āñkheñ raushan lahje ras ke pyāle jī
ye haiñ log mohabbat karne vaale jī
kisī kisī kā husn nashīlā hotā hai
kuchh shā.ir bhī hote haiñ matvāle jī
lamha lamha jakḌā jaatā huuñ in meñ
yādeñ haiñ yā haiñ makḌī ke jaale jī
us kī aañkh se aañsū ban kar bah nikle
mere paañv meñ paḌne vaale chhāle jī
rātoñ kā ahvāl kahāñ chhup saktā hai
sab kah dete haiñ āñkhoñ ke haale jī
maiñ ne hañs kar Taal diyā go logoñ ne
aap ke naam ke patthar ḳhuub uchhāle jī
gañgū telī aas lagā.e baiThā hai
jaa.e raaja bhoj to raaj sambhāle jī
aap ne gholā zahar fazāoñ meñ lekin
ham ne phuul ugaa.e buuTe paale jī
jañg kī bāteñ karne vaalo yaad rahe
bachte haiñ bas aaheñ aañsū naale jī
aag ugalte saañp kā shikva bejā hai
maiñ ne to bas apne phuul sambhāle jī
baap kī aañkh se mere aañsū Tapke the
bas us din se hoñToñ par haiñ taale jī