Munir anwar

hadis-e-dard ko aaKHir bayan to hona tha

Munir anwar

liaqat pur, Punjab, Pakistan

1962
hadīs-e-dard ko āḳhir bayāñ to honā thā
jo karb dil meñ chhupā thā ayaañ to honā thā
vo paas rahte hue fāsloñ kā qaa.il thā
is ehtimām ko phir dāstāñ to honā thā
zamīñ kā taaj thā vo shaḳhs apnī hastī meñ
zamīñ se baḌh ke use āsmāñ to honā thā
dukhoñ kī dhuup ke is daur-e-be-muravvat meñ
mujhe kisī ke liye sā.ebāñ to honā thā
tujhe ye kis ne kahā thā hisāb maañg us se
ab aisī baat pe jaañ kā ziyāñ to honā thā
jahāñ sabhī the vahāñ par nahīñ thā maiñ lekin
jahāñ koī bhī nahīñ thā vahāñ to honā thā
jo maiñ na hotā sar-e-dār dūsrā hotā
kisī ko ḳhalq-e-ḳhudā kī zabāñ to honā thā
vo ḳhud pasand jafā-kār shaḳhs thā 'anvar'
natījatan use be-kārvāñ to honā thā
Top Urdushayar.com