ġham ko ḳhud par savār mat karnā
zaḳhm ko ishtihār mat karnā
ek had meñ raho to achchhā hai
had kī dīvār paar mat karnā
apnī parvāz bhuul jāoge
ġhair par inhisār mat karnā
sar uThānā muhāl ho jaa.e
ḳhud ko yuuñ zer-e-bār mat karnā
vaqt kab intizār kartā hai
vaqt kā intizār mat karnā
baat karnā to sāmne karnā
piiTh pīchhe se vaar mat karnā
hausle se sahārnā ġham ko
dard ko be-vaqār mat karnā
chāhatoñ ke hisāb meñ 'anvar'
ek pal bhī udhār mat karnā