ḳhvāboñ meñ masrūf hai tū par merī ye bedārī dekh
merī rātoñ kī syāhī meñ rañg-e-ḳhūñ ko taarī dekh
dekh tū merī ġhurbat ko aur merī murda āñkhoñ ko
merī murda āñkhoñ se tū ab bhī aañsū jaarī dekh
tujh ko dene ko hai mere paas batā kyā kuchh bhī nahīñ
tujh se bāteñ terī yādeñ merī daulat saarī dekh
merī jaan ke saath saath ab saare lafz-e-fanā mere
in ko ik ik kar ke jaate tū ab baarī baarī dekh
zehn meñ ik tasvīr thī terī apnī saarī daulat jo
aaj yahāñ par khel khel meñ ham ne vo bhī haarī dekh
gird mire har jā har dam ik shor sunā.ī detā thā
ḳhāmoshī bhī dekh le ab tū aa kar laash hamārī dekh