āshiq-e-zulf-o-ruḳh-e-dildār āñkheñ ho ga.iiñ
mubtalā-e-kāfir-o-dīñdār āñkheñ ho ga.iiñ
surḳh palkeñ ho ga.iiñ ḳhūñ-bār āñkheñ ho ga.iiñ
dekh lo ab zaḳhm-e-dāman-dār āñkheñ ho ga.iiñ
dekh kar mahv-e-jamāl-e-yār āñkheñ ho ga.iiñ
jām-hā-e-sharbat-e-dīdār āñkheñ ho ga.iiñ
aa.iyo ai ashk ab bahne lagā hai ḳhūn-e-garam
bhejiyo paanī ki ātish-bār āñkheñ ho ga.iiñ
laḌ ga.iiñ tum se jo āñkheñ ho ga.ī ik baar sulh
kījiye do-tīn bāteñ chaar āñkheñ ho ga.iiñ
kashtī-e-mai le ke ai saaqī pahuñch bahr-e-ḳhudā
be tire mahfil meñ dariyā-bār āñkheñ ho ga.iiñ
hai tasavvur bas-ki āñkhoñ meñ ḳhat-e-ruḳhsār kā
aa.ine kī tarah jauhar-dār āñkheñ ho ga.iiñ
ai but-e-kāfir hai bas be-aib zaat allāh kī
lab tire iisā hue bīmār āñkheñ ho ga.iiñ
bah ga.iiñ palkeñ ba-rañg-e-ḳhas mirī ashkoñ ke saath
ab to nazroñ meñ gul-e-be-ḳhār āñkheñ ho ga.iiñ
chashm-e-baddūr in ko gardish hai ajab andāz se
ai parī āhū-e-ḳhush-raftār āñkheñ ho ga.iiñ
mere paañv kī tarah haihāt ab gardish meñ haiñ
kis kī ye vārafta-e-raftār āñkheñ ho ga.iiñ
ain nādānī hai ab un se jo rakhiye chashm-dāsht
shakl-e-mizhgāñ phir ga.iiñ bezār āñkheñ ho ga.iiñ
laḳht-e-dil yāqūt meñ aañsū haiñ motī āb-dār
aao dekho jauharī bāzār āñkheñ ho ga.iiñ
do to haiñ chashm-e-suḳhan-go gar nahīñ hai ik dahan
chup na rahiye qābil-e-guftār āñkheñ ho ga.iiñ
ishq-e-pinhāñ dīda-e-giryāñ ne zāhir kar diyā
hañsne kī jā hai lab-e-iz.hār āñkheñ ho ga.iiñ
ablaq-e-chashm-e-sanam kis naaz se gardish meñ hai
ḳhuub kaave hote haiñ rahvār āñkheñ ho ga.iiñ
har kisī ne aañkh jab Daalī gulū-e-sāf par
hañs ke farmāyā gale kā haar āñkheñ ho ga.iiñ
tol lete haiñ sadā nazroñ meñ jins-e-husn ko
palla-e-mīzāñ mirī ai yaar āñkheñ ho ga.iiñ
hai tasavvur roz-o-shab kis kī tilā.ī rañg kā
chashm-e-nargis kī tarah zardār āñkheñ ho ga.iiñ
kahte ho sab dekhte haiñ terī āñkhoñ se mujhe
sach kaho aġhyār kī bekār āñkheñ ho ga.iiñ
chaliye ab sahrā se kū-e-yār unheñ dikhlā.iye
ābloñ se paañv meñ do-chār āñkheñ ho ga.iiñ
phuul nargis ke banā.e kab vahāñ me.amār ne
ye hamārī naqsh-bar-dīvār āñkheñ ho ga.iiñ
ai ḳhudā shāhid hamārā summa-vaj.hullāh hai
jab nigah kī but pe tujh se chaar āñkheñ ho ga.iiñ
aap sā in ko banāyā ishq-e-tīr-e-yār ne
hai sirī tār-e-nigah sūfār āñkheñ ho ga.iiñ
pesh-e-nargis haath phailā.e haiñ shāḳhoñ se daraḳht
kis ko dekheñge jo ab darkār āñkheñ ho ga.iiñ
chup khaḌe haiñ ban ga.e haiñ naqsh-bar-dīvār ham
aao dekho rauzan-e-dīvār āñkheñ ho ga.iiñ
sāqī-o-mīnā-o-sāġhar ek aate haiñ nazar
bāda-e-vahdat se kyā sarshār āñkheñ ho ga.iiñ
rote rote hijr meñ suuje haiñ ye chashmān-e-tar
jism lāġhar ho gayā tayyār āñkheñ ho ga.iiñ
āshiq-e-abrū huuñ karnā dīda-o-dānista qatl
jauharoñ se tujh meñ ai talvār āñkheñ ho ga.iiñ
aañkh ke Doroñ ne tere kuchh to haiñ dhāge diye
ai sanam jo mā.il-e-zunnār āñkheñ ho ga.iiñ
phir gayā vo aa ke ab jaage to kyā hāsil 'vazīr'
so ga.e jab baḳht tab bedār āñkheñ ho ga.iiñ