Bedam Shah Warsi

teri ulfat shoabada-parwaz hai

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
terī ulfat sho.abada-parvāz hai
aarzū gar hai tamannā-sāz hai
phir hadīs-e-ishq kā āġhāz hai
aaj phir goyā zabān-e-rāz hai
ganj-e-asrār-e-azal hai bāġh-e-dahr
pattā pattā daftar-e-sad-rāz hai
jaan de dī un pe aur zinda rahe
apne marne kā nayā andāz hai
hoshiyār ai nāvak-afgan hoshyār
tā.ir-e-jāñ mā.il-e-parvāz hai
ruḳhsat ai aql-o-ḳhirad hosh-o-havās
shauq-e-vasl-e-yār kā āġhāz hai
mere naale sun ke farmāte haiñ vo
ye usī kī dukh-bharī āvāz hai
jis ko sab samjhe haiñ dasht-e-karbalā
vo to maidān-e-niyāz-o-nāz hai
zarre zarre meñ ayaañ hone ke ba.ad
aaj tak rāz-e-haqīqat raaz hai
aap jāñcheñ majma-e-ushshāq meñ
un meñ 'bedam' sā koī jāñ-bāz hai
Top Urdushayar.com