dil liyā jaan lī nahīñ jaatī
aap kī dil-lagī nahīñ jaatī
sab ne ġhurbat meñ mujh ko chhoḌ diyā
ik mirī bekasī nahīñ jaatī
kiye kah duuñ ki ġhair se miliye
an-kahī to kahī nahīñ jaatī
ḳhud kahānī firāq kī chheḌī
ḳhud kahā bas sunī nahīñ jaatī
ḳhushk dikhlātī hai zabāñ talvār
kyuuñ mirā ḳhuun pī nahīñ jaatī
lākhoñ armān dene vāloñ se
ek taskīn dī nahīñ jaatī
jaan jaatī hai merī jaane do
baat to aap kī nahīñ jaatī
tum kahoge jo ro.uuñ furqat meñ
ki musībat sahī nahīñ jaatī
us ke hote ḳhudī se paak huuñ maiñ
ḳhuub hai be-ḳhudī nahīñ jaatī
pī thī 'bedam' azal meñ kaisī sharāb
aaj tak be-ḳhudī nahīñ jaatī