tañgī-e-dahan se hai aḌī baat
chhoTā sā hai muñh tirā baḌī baat
kyā charb-zabāñ vo sho.ala-rū hai
lab tak aa kar phisal paḌī baat
matlab par agar zabān do tum
ho muñh se abhī nikal khaḌī baat
dil shīsha-e-sā.at apnā ban jaa.e
saaqī na kare jo do ghaḌī baat
haiñ peT kī halkī vo sadaf-sāñ
motī kī tarah nikal paḌī baat