Bedam Shah Warsi

kash meri jabin-e-shauq sajdon se sarfaraaz ho

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
kaash mirī jabīn-e-shauq sajdoñ se sarfarāz ho
yaar kī ḳhāk-e-āstāñ tāj-e-sar-e-niyāz ho
ham ko bhī pā.emāl kar umr tirī darāz ho
mast-e-ḳhirām-e-nāz idhar mashq-e-ḳhirām-e-nāz ho
chashm-e-haqīqat-e-āshnā dekhe jo husn kī kitāb
daftar-e-sad-hadīs-e-rāz har varaq-e-majāz ho
sāmne rū-e-yār ho sajde meñ ho sar-e-niyāz
yūñhī harīm-e-nāz meñ āThoñ pahar namāz ho
us ke harīm-e-nāz meñ aql-o-ḳhirad ko daḳhl kyā
jis kī galī kī ḳhaak kā zarra jahān-e-rāz ho
terī galī meñ pā ke jā jaa.e kahāñ tirā gadā
kyuuñ na vo be-niyāz ho tujh se jise niyāz ho
'bedam'-e-ḳhasta hijr meñ ban ga.ī jān-e-zār par
jis ne diyā hai dard-e-dil kaash vo chārasāz ho
Top Urdushayar.com