Bedam Shah Warsi

sine mein dil hai dil mein dagh dagh mein soz-o-saz-e-ishq

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
siine meñ dil hai dil meñ daaġh daaġh meñ soz-o-sāz-e-ishq
parda-ba-parda hai nihāñ parda-nashīñ kā rāz-e-ishq
naaz kabhī niyāz hai aur niyāz nāz-e-ishq
ḳhatm huā na ho kabhī silsila-e-darāz-e-ishq
ishq adā-navāz-e-husn husn karishma-sāz-e-ishq
aaj se kyā azal se hai husn se sāz-bāz-e-ishq
apnī ḳhabar kahāñ unheñ jin pe khulā hai rāz-e-ishq
saare shu.ūr miT ga.e jab huā imtiyāz-e-ishq
hosh-o-ḳhirad bhī al-firāq ''bainī-va-bainaka'' kaheñ
hazrat-e-dil kā ḳhair se hai safar-e-hijāz-e-ishq
pīr-e-muġhāñ ke pā-e-nāz aur mirā sar-e-niyāz
hotī hai mai-kade meñ roz apnī yūñhī namāz-e-ishq
hasrat-o-yās-o-ārzū shauq kā iqtidā kareñ
kushta-e-ġham kī laash par dhuum se ho namāz-e-ishq
ishq kī zaat hī se hai ḳhūbī-e-husn-o-shān-e-husn
husn ke dam-qadam se hai saarā ye soz-o-sāz-e-ishq
ai dil-e-dardmand phir naala ho koī dil-gudāz
suunī paḌī hai bazm-e-shauq chheḌ de apnā sāz-e-ishq
hosh-o-ḳhirad adū-e-ishq ishq hai dushman-e-ḳhirad
hai na huā na ho kabhī aql se sāz-bāz-e-ishq
'bedam'-e-ḳhasta hai kahāñ asl meñ koī aur hai
zamzama-sanj be-ḳhudī naġhma-tarāz sāz-e-ishq
Top Urdushayar.com