Bedam Shah Warsi

ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
ishq ke āsār haiñ phir ġhash mujhe aayā dekho
phir koī rauzan-e-dīvār se jhāñkā dekho
un ke milne kī tamannā meñ miTā jaatā huuñ
na.ī duniyā hai mire shauq kī duniyā dekho
tuur par hī nahīñ nazzāra-e-jānāñ mauqūf
dekhnā ho to vo maujūd hai har jā dekho
asar-e-nāla-e-āshiq nahīñ dekhā tum ne
thaam lo dil ko sambhal baiTho ab achchhā dekho
taur majnūñ kī nigāhoñ ke batāte haiñ hameñ
isī lailā meñ hai ik dūsrī lailā dekho
partav-e-mahr se ma.amūr hai zarra zarra
lahreñ letā hai har ik qatre meñ dariyā dekho
duur ho jaa.eñ jo āñkhoñ se hijābāt-e-duī
phir to dil hī meñ do-ālam kā tamāshā dekho
sab meñ DhūñDā unheñ aur kī to na kī dil meñ talāsh
nazar-e-shauq kahāñ khaa.ī hai dhokā dekho
nahīñ thamte nahīñ thamte mire aañsū 'bedam'
rāz-e-dil un pe huā jaatā hai ifshā dekho
Top Urdushayar.com