Bedam Shah Warsi

khinchi hai tasawwur mein taswir-e-ham-aghoshi

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
khīñchī hai tasavvur meñ tasvīr-e-ham-āġhoshī
ab hosh na aane de mujh ko mirī be-hoshī
pā jaanā hai kho jaanā kho jaanā hai pā jaanā
be-hoshī hai hushyārī hushyārī hai be-hoshī
maiñ sāz-e-haqīqat huuñ dam-sāz-e-haqīqat huuñ
ḳhāmoshī hai goyā.ī goyā.ī hai ḳhāmoshī
asrār-e-mohabbat kā iz.hār hai nā-mumkin
TuuTā hai na TūTegā qufl-e-dar-e-ḳhāmoshī
har dil meñ tajallī hai un ke ruḳh-e-raushan kī
ḳhurshīd se hāsil hai zarroñ ko ham-āġhoshī
jo suntā huuñ suntā huuñ maiñ apnī ḳhamoshī se
jo kahtī hai kahtī hai mujh se mirī ḳhāmoshī
ye husn-faroshī kī dūkān hai yā chilman
nazzāra kā nazzāra rūposhī kī rūposhī
yaañ ḳhaak kā zarra bhī laġhzish se nahīñ ḳhālī
mai-ḳhāna-e-duniyā hai yā ālam-e-be-hoshī
haañ haañ mire isyāñ kā parda nahīñ khulne kā
haañ haañ tirī rahmat kā hai kaam ḳhatā-poshī
is parde meñ poshīda lailā-e-do-ālam hai
be-vaj.h nahīñ 'bedam' ka.abe kī siyah-poshī
Top Urdushayar.com