yuuñ gulshan-e-hastī kī maalī ne binā Daalī
phūloñ se judā kaliyāñ kaliyoñ se judā Daalī
sar rakh ke hathelī par aur laḳht-e-jigar chun kar
sarkār meñ laa.e haiñ arbāb-e-vafā Daalī
ruuyā kahūñ maiñ is ko yā muzhda-e-bedārī
ġhul hai ki naqāb us ne chehre se uThā Daalī
allāh-re tasavvur kī naqqāshī o nairañgī
jab ban ga.ī ik sūrat ik shakl miTā Daalī
saaqī ne sitam Dhāyā barsāt meñ tarsāyā
jab fasl-e-bahār aa.ī dūkān uThā Daalī
ḳhūn-e-dil-e-āshiq ke us qatre kā kyā kahnā
duniyā-e-vafā jis ne rañgīn banā Daalī
'bedam' tire girya ne tūfān uThā Daale
aur nāloñ ne duniyā kī buniyād hilā Daalī