Bedam Shah Warsi

pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
pās-e-adab mujhe unheñ sharm-o-hayā na ho
nazzāra-gāh meñ asar-e-mā-sivā na ho
maanā mirī qubūl nahīñ hai duā na ho
itnā hī ho ki us pe asar ġhair kā na ho
kyuuñ kar kahūñ ki paas unheñ ġhair kā na ho
jo ġhusse meñ bhī kahte haiñ terā burā na ho
is parde meñ to kitne girebān chaak haiñ
vo be-hijāb hoñ to ḳhudā jaane kyā na ho
takiye meñ kyā rakhā hai ḳhat-e-ġhair kī tarah
dekhūñ to maiñ navishta-e-qismat mirā na ho
mil kar gale vo karte haiñ ḳhanjar kī tarah kaaT
is par bhī kah rahā huuñ ki mujh se judā na ho
muusā kā haal dekh ke dil kāñpne lagā
ab to duā hai un se mirā sāmnā na ho
vo baar baar merā lipaTnā shab-e-visāl
un kā jhijak ke kahnā koī dekhtā na ho
'bedam' kī zindagī hai isī chheḌ-chhāḌ meñ
tark-e-vafā kī tarah se tark-e-jafā na ho
Top Urdushayar.com