Bedam Shah Warsi

mujhe shikwa nahin barbaad rakh barbaad rahne de

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
mujhe shikva nahīñ barbād rakh barbād rahne de
magar allāh mere dil meñ apnī yaad rahne de
qafas meñ qaid rakh yā qaid se āzād rahne de
bahar-sūrat chaman hī meñ mujhe sayyād rahne de
mire nāshād rahne se agar tujh ko masarrat hai
to maiñ nāshād hī achchhā mujhe nāshād rahne de
tirī shān-e-taġhāful par mirī barbādiyāñ sadqe
jo barbād-e-tamannā ho use barbād rahne de
tujhe jitne sitam aate haiñ mujh par ḳhatm kar denā
na koī zulm rah jaa.e na ab be-dād rahne de
na sahrā meñ bahaltā hai na kū-e-yār meñ Thahre
kahīñ to chain se mujh ko dil-e-nāshād rahne de
kuchh apnī guzrī hī 'bedam' bhalī ma.alūm hotī hai
mirī biitī sunā de qissa-e-farhād rahne de
Top Urdushayar.com