Bedam Shah Warsi

na suno mere nale hain dard-bhare dar-o-asare aah-e-sahare

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936

na suno mere naale haiñ dard-bhare dār-o-asare āh-e-sahare

tumheñ kyā jo koī martā hai mire ai dushman-e-jāñ be-dād-gare

tirī surmagīñ āñkhoñ ke sadqe inheñ chheḌ na panja-e-mizhgāñ se

abhī zaḳhm-e-jigar haiñ tamām hare ai mahv-e-taġhāful be-ḳhabare

liyā ishq meñ jog bhikārī bane tire naqsh-e-qadam ke pujārī bane

kabhī sajde kiye kabhī gird phire but sīm-bare zarrīñ-kamre

jo ne hazāroñ va.ade kiye lekin vo kabhī iifā na hue

dil haiñ rahe armān mire ai va.ada-shikan but hīla-gire

'bedam' kaheñ kyā kis tarah rahe mar mar ke jiye ke mare

dar-manzil-e-ishqash dar-badare majnūn-e-shorīda-sare

Top Urdushayar.com