jiite jī bas vo but rahā hamrāh
ab to bande ke hai ḳhudā hamrāh
dil diyā us ko par ye Dartā huuñ
dushman ik dost ke kiyā hamrāh
nahīñ yārān-e-raftagāñ kā nishāñ
le ga.e kyā ye naqsh-e-pā hamrāh
is meñ kyā aap kī hai rusvā.ī
rahe gar mujh sā pārsā hamrāh
tujhe dekhā jidhar nigāh ga.ī
thā tasavvur zi-bas tirā hamrāh
rañj-e-tanhā.ī-e-lahad na rahā
yaar ke ġham ko le liyā hamrāh
shab ko jaate ho saath lo mash.al
kahiye to ho ye dil-jalā hamrāh
hue ba.ad apne bevafā ushshāq
le ga.e yaañ se ham-vafā hamrāh
terī raftār kā maiñ kushta huuñ
qabr tak aa.iyo zarā hamrāh
ye dil-e-bad-gumāñ na dekh sake
agar us but ke ho ḳhudā hamrāh
tā salāmat tū aa.e ai qāsid
Thahar itnā karūñ duā hamrāh
us ne tanhā mujhe na jaane diyā
ġham-e-furqat ko kar diyā hamrāh
nā-tavāñ hai bahut ġhubār mirā
tū zarā rahiyo ai sabā hamrāh
rahī yaañ gardish aur jāma-darī
kaash laate na dast-o-pā hamrāh
gāliyāñ jaise diiñ haiñ dil le kar
jā.egā ye diyā liyā hamrāh
jā na tanhā tū ai shah-e-ḳhūbāñ
ho 'vazīr'-e-barhana-pā hamrāh