Bedam Shah Warsi

apni hasti ka agar husn numayan ho jae

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
apnī hastī kā agar husn numāyāñ ho jaa.e
aadmī kasrat-e-anvār se hairāñ ho jaa.e
tum jo chāho to mire dard kā darmāñ ho jaa.e
varna mushkil hai ki mushkil mirī āsāñ ho jaa.e
o namak-pāsh tujhe apnī malāhat kī qasam
baat to jab hai ki har zaḳhm namakdāñ ho jaa.e
dene vaale tujhe denā hai to itnā de de
ki mujhe shikva-e-kotāhī-e-dāmāñ ho jaa.e
us siyah-baḳht kī rāteñ bhī koī rāteñ haiñ
ḳhvāb-e-rāhat bhī jise ḳhvāb-e-pareshāñ ho jaa.e
sīna-e-shiblī-o-mansūr to phūñkā tū ne
is taraf bhī karam ai jumbish-e-dāmāñ ho jaa.e
āḳhirī saañs bane zamzam-e-hū apnā
sāz-e-mizrāb-e-fanā tār-e-rag-e-jāñ ho jaa.e
tū jo asrār-e-haqīqat kahīñ zāhir kar de
abhī 'bedam' rasan-o-dār kā sāmāñ ho jaa.e
Top Urdushayar.com