allāh-re faiz ek jahāñ mustafīd hai
har mast mere pīr-e-muġhāñ kā murīd hai
vaa.iz abas ye zikr-e-azāb-e-shadīd hai
ik tauba qufl-e-rahmat-e-haq kī kalīd hai
vahshat ne ham ko jāma-e-ḳhākī pahnā diyā
ai aql ab ye kaahe kī qat-o-burīd hai
ai rah-ravān-e-jāda-e-ulfat baḌhe chalo
ye kis ne kah diyā hai ki manzil ba.iid hai
kyūñkar na qurb-e-haq kī taraf dil mirā kījiye
gardan asīr-e-halqa-e-habl-ul-varīd hai
ab jām-e-jam kī mujh ko zarūrat nahīñ rahī
vo dil milā hai jis meñ do-ālam kī diid hai
vallail hai ki zulf-e-mo.ambar huzūr kī
ye rū-e-pāk hai ki kalām-e-majīd hai
halkī sī ik ḳharāsh hai qāsid ke halq par
ye ḳhat javāb-e-ḳhat hai ki ḳhat kī rasīd hai
ḳhanjar-ba-kaf vo kahte haiñ ab aa.e sāmne
kis ko ḳhayāl-e-vasl hai armān-e-dīd hai
mujh ḳhasta-e-dil kī iid kā kyā pūchhnā huzūr
jin ke gale se aap mile un kī iid hai
to dekhe aur bande pe tere azaab ho
yā-rab ye terī shān-e-karam se ba.iid hai
shīshe kā mo'taqid hai irādat hai jaam se
kis pīr-e-mai-farosh kā 'bedam' murīd hai