Bedam Shah Warsi

kabhi yahan liye hue kabhi wahan liye hue

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
kabhī yahāñ liye hue kabhī vahāñ liye hue
phirī hai justujū tirī kahāñ kahāñ liye hue
zamīn-e-dil kī ḳhaak hai sad-āsmāñ liye hue
tanazzulāt-e-ishq meñ taraqqiyāñ liye hue
dil o jigar liye hue matā-e-jāñ liye hue
kisī kā nāvak-e-nazar talāshiyāñ liye hue
usī galī se aa.ī hai shamīm-e-zulf laa.ī hai
nasīm-e-sub.h aa.ī hai tasalliyāñ liye hue
mire ġham-e-nihāñ meñ hai naved-e-ishrat-āfrīñ
bahār hī bahār hai mirī ḳhizāñ liye hue
hamārī aah ke sharar hamīñ ko phūñkne lage
havā ke jhoñke aa.e saath bijliyāñ liye hue
tirī galī meñ māh-rū paḌe hue haiñ chār-sū
tamām zarre ḳhaak ke tajalliyāñ liye hue
na qurb-e-gul kī taab thī na hijr-e-gul meñ chain thā
chaman chaman phire ham apnā āshiyāñ liye hue
nigāh-e-ahl-e-rāz meñ haqīqat o majāz meñ
hamārī be-nishāniyāñ tirā nishāñ liye hue
uThe haiñ hashr meñ fidā-e-kū-e-yār is tarah
jabīñ meñ sajde dil meñ yād-e-āstāñ liye hue
na dil milegā 'bedam' aur na dil kī hasrateñ kahīñ
ki gum huā hai yūsuf apnā kārvāñ liye hue
Top Urdushayar.com