Bedam Shah Warsi

but bhi isMein rahte the dil yar ka bhi kashana tha

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
but bhī is meñ rahte the dil yaar kā bhī kāshāna thā
ek taraf ka.abe ke jalve ek taraf but-ḳhāna thā
dilbar haiñ ab dil ke mālik ye bhī ek zamāna hai
dil vaale kahlāte the ham vo bhī ek zamāna thā
phuul na the ārā.ish thī us mast-adā kī aamad par
haath meñ Daalī Daalī ke ek halkā sā paimāna thā
hosh na thā be-hoshī thī be-hoshī meñ phir hosh kahāñ
yaad rahī ḳhāmoshī thī jo bhuul ga.e afsāna thā
dil meñ vasl ke armāñ bhī the aur malāl-e-furqat bhī
ābādī kī ābādī vīrāne kā vīrāna thā
uf-re bād-e-josh-e-javānī aañkh na un kī uThtī thī
mastāna har ek adā thī har ishva mastāna thā
sham.a ke jalve bhī yā-rab kyā ḳhvāb thā jalne vāloñ kā
sub.h jo dekhā mahfil meñ parvāna hī parvāna thā
dekh ke vo tasvīr mirī kuchh kho.e hue se kahte haiñ
haañ haañ yaad to aatā hai is shakl kā ik dīvāna thā
ġhair kā shikva kyūñkar rahtā dil meñ jab ummīdeñ thiiñ
apnā phir bhī apnā thā begāna phir begāna thā
'bedam' is andāz se kal yuuñ ham ne kahī apnī biitī
har ek ne samjhā mahfil meñ ye merā hī afsāna thā
Top Urdushayar.com