agar ka.aba kā ruḳh bhī jānib-e-mai-ḳhāna ho jaa.e
to phir sajda mirī har laġhzish-e-mastāna ho jaa.e
vahī dil hai jo husn-o-ishq kā kāshāna ho jaa.e
vo sar hai jo kisī kī teġh kā nazrāna ho jaa.e
ye achchhī parda-dārī hai ye achchhī rāzdārī hai
ki jo aa.e tumhārī bazm meñ dīvāna ho jaa.e
mirā sar kaT ke maqtal meñ gire qātil ke qadmoñ par
dam-e-āḳhir adā yuuñ sajda-e-shukrāna ho jaa.e
tirī sarkār meñ laayā huuñ Daalī hasrat-e-dil kī
ajab kyā hai mirā manzūr ye nazrāna ho jaa.e
shab-e-furqat kā jab kuchh tuul kam honā nahīñ mumkin
to merī zindagī kā muḳhtasar afsāna ho jaa.e
vo sajde jin se barsoñ ham ne ka.abe ko sajāyā hai
jo but-ḳhāne ko mil jaa.eñ to phir but-ḳhāna ho jaa.e
kisī kī zulf bikhre aur bikhar kar dosh par aa.e
dil-e-sad-chāk uljhe aur ulajh kar shāna ho jaa.e
yahāñ honā na honā hai na honā ain honā hai
jise honā ho kuchh ḳhāk-e-dar-e-jānāna ho jaa.e
sahar tak sab kā hai anjām jal kar ḳhaak ho jaanā
bane mahfil meñ koī sham.a yā parvāna ho jaa.e
vo mai de de jo pahle shiblī o mansūr ko dī thī
to 'bedam' bhī nisār-e-murshid-e-mai-ḳhāna ho jaa.e