Bedam Shah Warsi

shadi o alam sab se hasil hai subukdoshi

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
shādī o alam sab se hāsil hai subukdoshī
sau hosh mire sadqe tujh par mirī be-hoshī
gum hone ko pā jaanā kahte haiñ mohabbat meñ
aur yaad kā rakkhā hai yaañ naam farāmoshī
kal ġhair ke dhoke meñ vo iid mile ham se
kholī bhī to dushman ne taqdīr-e-ham-āġhoshī
vo qulqul-e-mīnā meñ charche mirī tauba ke
aur shīsha-o-sāġhar kī mai-ḳhāne meñ sargoshī
ham rañj bhī paane par mamnūn hī hote haiñ
ham se to nahīñ mumkin ehsān-farāmoshī
hosh aatā hai phir mujh ko phir hosh mujhe aayā
denā nigah-e-sāqī ik sāġhar-e-be-hoshī
kal arsa-e-mahshar meñ jab aib khuleñ mere
rahmat tirī phailā de dāmān-e-ḳhatā-poshī
milte hī nazar tujh se mastāna huā 'bedam'
saaqī tirī āñkheñ haiñ yā sāġhar-e-be-hoshī
Top Urdushayar.com