Bedam Shah Warsi

apne didar ki hasrat mein tu mujhko sarapa dil kar de

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
apne dīdār kī hasrat meñ tū mujh ko sarāpā dil kar de
har qatra-e-dil ko qais banā har zarre ko mahmil kar de
duniyā-e-husn-o-ishq mirī karnā hai to yuuñ kāmil kar de
apne jalve merī hairat nazzāre meñ shāmil kar de
yaañ tuur o kalīm nahīñ na sahī maiñ hāzir huuñ le phūñk mujhe
parde ko uThā de mukhḌe se barbād sukūn-e-dil kar de
gar qulzum-e-ishq hai be-sāhil ai ḳhizr to be-sāhil hī sahī
jis mauj meñ Duube kashti-e-dil us mauj ko tū sāhil kar de
ai dard atā karne vaale tū dard mujhe itnā de de
jo donoñ jahāñ kī vus.at ko ik gosha-e-dāman-e-dil kar de
har sū se ġhamoñ ne gherā hai ab hai to sahārā terā hai
mushkil āsāñ karne vaale āsān mirī mushkil kar de
'bedam' us yaad ke maiñ sadqe us dard-e-mohabbat ke qurbāñ
jo jiinā bhī dushvār kare aur marnā bhī mushkil kar de
Top Urdushayar.com