Bedam Shah Warsi

daru-e-dard-e-nihan rahat-e-jaani sanama

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
dārū-e-dard-e-nihāñ rāhat-e-jānī sanamā
īsā-e-murda-dilāñ yūsuf-e-sānī sanamā
tere sadqe mirī jaañ tujh pe mirā dil qurbāñ
vāris-e-kaun-o-makāñ faḳhr-e-zamānī sanamā
terā har jalva hai ā.īna-e-asrār-e-azal
terī sūrat meñ haiñ anvār-e-ma.ānī sanamā
dil ke dāġhoñ ko kaleje se lagā rakkhā hai
ki yahī daaġh to haiñ terī nishānī sanamā
tū hī jab qissa-e-ġham se mire ghabrātā hai
phir sune kaun mire ġham kī kahānī sanamā
tā-kujā ashk bujhā.eñge mire dil kī lagī
phūñke detā hai mujhe soz-e-nihānī sanamā
vaqf sajda hai tire dar pe jabīn-e-'bedam'
qibla-e-dil sanamdā ka.aba-e-jānī sanamā
Top Urdushayar.com