kaun sā ghar hai ki ai jaañ nahīñ kāshāna tirā aur jalva-ḳhāna tirā
mai-kada terā hai ka.aba tirā but-ḳhāna tirā sab hai jānāna tirā
tū kisī shakl meñ ho maiñ tirā shaidā.ī huuñ terā saudā.ī huuñ
tū agar sham.a hai ai dost maiñ parvāna tirā ya.anī dīvāna tirā
mujh ko bhī jaam koī pīr-e-ḳharābāt mile terī ḳhairāt mile
tā-qayāmat yūñhī jaarī rahe paimāna tirā rahe mai-ḳhāna tirā
tere darvāze pe hāzir hai tire dar kā faqīr ai amīroñ ke amiir
mujh pe bhī ho kabhī altāf-e-karīmāna tirā lutf-e-shāhāna tirā
sadqa mai-ḳhāne kā saaqī mujhe be-hoshī de ḳhud-farāmoshī de
yuuñ to sab kahte haiñ 'bedam' tirā mastāna tirā ab huuñ dīvāna tirā