Bedam Shah Warsi

qasr-e-jaanan tak rasai ho kisi tadbir se

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
qasr-e-jānāñ tak rasā.ī ho kisī tadbīr se
tā.ir-e-jāñ ke liye par maañg luuñ maiñ tiir se
un ko kyā dhokā huā mujh nā-tavāñ ko dekh
merī sūrat kyuuñ milāte haiñ mirī tasvīr se
gāliyāñ de kar bajā.e qum ke ai rashk-e-masīh
aap ne murde jilā.e haiñ na.ī tadbīr se
sadqe ai qātil tire mujh tishna-e-dīdār kī
tishnagī jaatī rahī āb-e-dam-e-shamshīr se
ishve se ġhamze se shoḳhī se adā se naaz se
miTne vaalā huuñ miTā diije kisī tadbīr se
ik savāl-e-vasl par do do sazā.eñ diiñ mujhe
teġh se kaaTā zabāñ ko sī diye lab tiir se
kuchh na ho ai inqilāb-e-āsmāñ itnā to ho
ġhair kī qismat badal jaa.e merī taqdīr se
zindagī se kyuuñ na ho nafrat ki mahv-e-zulf huuñ
qaid-e-hastī mujh ko 'bedam' kam nahīñ zanjīr se
Top Urdushayar.com