ham mai-kade se mar ke bhī bāhar na jā.eñge
mai-kash hamārī ḳhaak ke sāġhar banā.eñge
vo ik kaheñge ham se to ham sau sunā.eñge
muñh ā.eñge hamāre to ab muñh kī khā.eñge
kuchh chārasāzī nāloñ ne kī hijr meñ mirī
kuchh ashk mere dil kī lagī ko bujhā.eñge
vo misl-e-ashk uTh nahīñ saktā zamīn se
jis ko huzūr apnī nazar se girā.eñge
jhoñke nasīm-e-sub.h ke aa aa ke hijr meñ
ik din charāġh-e-hastī-e-āshiq bujhā.eñge
sahrā kī gard hogī kafan mujh ġharīb kā
uTh kar bagūle merā janāza uThā.eñge
ab Thaan lī hai dil meñ ki sar jaa.e yā rahe
jaise uThegā bār-e-mohabbat uThā.eñge
gardish ne merī charḳh kā chakrā diyā dimāġh
nāloñ se ab zamīñ ke tabaq thartharāeñge
'bedam' vo ḳhush nahīñ haiñ to achchhā yūñhī sahī
nā-ḳhush hī ho ke ġhair mirā kyā banā.eñge