Bedam Shah Warsi

na mehrab-e-haram samjhe na jaane taq-e-but-KHana

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
na mehrāb-e-haram samjhe na jaane tāq-e-but-ḳhāna
jahāñ dekhī tajallī ho gayā qurbān parvāna
dil-e-āzād ko vahshat ne baḳhshā hai vo kāshāna
ki ik dar jānib-e-ka.aba hai ik dar sū-e-but-ḳhāna
binā-e-mai-kada Daalī jo tū ne pīr-e-mai-ḳhāna
to ka.aba hī rahā ka.aba na phir but-ḳhāna but-ḳhāna
kahāñ kā tuur mushtāq-e-laqā vo aañkh paidā kar
ki zarra zarra hai nazzāra-gāh-e-husn-e-jānāna
ḳhudā puurī kare ye hasrat-e-dīdār kī hasrat
ki dekhūñ aur tire jalvoñ ko dekhūñ be-hijābāna
shikast-e-tauba kī taqrīb meñ jhuk jhuk ke miltī haiñ
kabhī paimāna shīsha se kabhī shīshe se paimāna
sajā kar laḳht-e-dil se kashtī-e-chashm-e-tamannā ko
chalā huuñ bārgāh-e-ishq meñ le kar ye nazrāna
kabhī jo parda-e-be-sūratī meñ jalva-farmā the
unhīñ ko ālam-e-sūrat meñ dekhā be-hijābāna
mirī duniyā badal dī jumbish-e-abrū-e-jānāñ ne
ki apnā hī rahā apnā na ab begāna na begāna
jalā kar sham.a parvāne ko saarī umr rotī hai
aur apnī jaan de kar chain se sotā hai parvāna
kisī kī mahfil-e-ishrat meñ paiham daur chalte haiñ
kisī kī umr kā labrez hone ko hai paimāna
hamārī zindagī to muḳhtasar sī ik kahānī thī
bhalā ho maut kā jis ne banā rakkhā hai afsāna
ye lafz-e-sālik-o-majzūb kī hai sharh ai 'bedam'
ki ik hoshyār-e-ḳhatm-ul-mursalīñ aur ek dīvāna
Top Urdushayar.com