FaIyaz Rashk

KHayal-o-KHwab ko parwaz deta rahta hun

FaIyaz Rashk

Bihar, India

1953
ḳhayāl-o-ḳhvāb ko parvāz detā rahtā huuñ
maiñ apne aap ko āvāz detā rahtā huuñ
jo un ko rakhegā duniyā meñ surḳh-rū kar ke
maiñ apne bachchoñ ko vo raaz detā rahtā huuñ
maiñ chheḌtā huuñ sadā shā.irī ke tāroñ ko
aur apne fan se koī saaz detā rahtā huuñ
palaT ke ā.eñge ik din zarūr achchhe din
maiñ apne taur to āvāz detā rahtā huuñ
jhulā ke haal ko aksar zabāñ ke jhūle meñ
ġham-e-jahāñ ko meñ andāz detā rahtā huuñ
lagā ke siine se 'fayyāz' us ke paikar ko
ġhazal ko har ghaḌī e.azāz detā rahtā huuñ
Top Urdushayar.com