Khwaja Mohammad Wazir

hamesha dil mein jo apne KHayal-e-zulf-o-kakul hai

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
hamesha dil meñ jo apne ḳhayāl-e-zulf-o-kakul hai
to siine meñ nafas har ek mauj-e-bū-e-sumbul hai
fasāñ hai saḳht-jānī merī teġh-e-nāz-e-qātil ko
ki yaañ jitnā hai rañj-e-naza.a utnā vaañ taġhāful hai
mujhī ko kuchh tū apne kūche meñ aane nahīñ detā
vagarna ai sitam-ījād har gulshan meñ bulbul hai
tirī mīna-e-gardan kī sifat kī hai jo ai saaqī
mirī āvāz ko kahte haiñ sab āvāz-e-qulqul hai
vahī dil hai bharā ho nashsha jis meñ jām-e-vahdat kā
ki hai chhātī kā patthar bazm meñ shīsha jo be mul hai
mare jo soz-e-ġham se jal ke ho vo nek-nām āḳhir
charāġh-e-murdā ko aksar yahī kahte haiñ sab gul hai
diyā sāmān-e-gulshan ham ko hijr-e-rashk-e-gulshan ne
pareshānī hai sumbul naala bulbul dāġh-e-dil gul hai
likhī haiñ vasf yaañ tak nargis-e-maḳhmūr saaqī kī
hai ḳhāma gardan-e-mīnā sarīr-e-ḳhāma qulqul hai
baḌhā kar rabt kyūñkar kam na muñh dikhlā.e vo mah-rū
huā jab māh-e-kāmil din pe din us ko tanazzul hai
bahātī hai kahīñ bhī mauj-e-naqsh-e-boriyā ḳhas ko
na degā nā-tavāñ ko rañj jo sāhab tahammul hai
kahā us gul ne kul sāmān-e-gulshan meñ bhī raT.tā huuñ
jo āshiq hai mirā nāloñ se vo ham-chashm-e-bulbul hai
ḳhat-o-ruḳhsār-o-chashm-o-zulf dikhlā kar lagā kahne
ye raihāñ hai ye gul hai aur ye nargis hai ye sumbul hai
ḳhayāl-e-zulf-e-jānāñ meñ jo ro.uuñ to uge sumbul
'vazīr' aañsū mirā har ek goyā tuḳhm-e-sumbul hai
Top Urdushayar.com