Bedam Shah Warsi

barhaman mujhko banana na musalman karna

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
barhaman mujh ko banānā na musalmāñ karnā
mere saaqī mujhe mast-e-mai-e-irfāñ karnā
dāġh-e-dil siine meñ aahoñ se numāyāñ karnā
ham se sīkhe shab-e-ġham koī charāġhāñ karnā
haram o dair meñ jā jā ke charāġhāñ karnā
justujū terī hameñ tā-had-e-imkāñ karnā
dil ke bahlāne kā vahshat meñ ye sāmāñ karnā
chashm-e-ḳhūñ-bār se dāman ko gulistāñ karnā
havas-e-sair-e-gulistāñ ne qafas dikhlāyā
ab asīro na kabhī qasd-e-gulistāñ karnā
ahl-e-be-dād ke jab naam pukāre jaa.eñ
tum na ghabrā ke sar-e-hashr kahīñ haañ karnā
na kabhī maiñ ne kahā thā ki mujhe dard mile
na kahūñgā ki mire dard kā darmāñ karnā
un ke dīvānoñ ko sar phoḌ ke dīvāroñ se
aaj manzūr hai ārā.ish-e-zindāñ karnā
shaiḳh ko ka.aba mubārak ho barahman ko kunisht
ham ko sajda taraf-e-kūcha-e-jānāñ karnā
ai sabā tujh ko usī zulf-e-pareshāñ kī qasam
merā shīrāza-e-hastī bhī pareshāñ karnā
un ke dīvānoñ kī e.ajāz-nigāhī dekho
aañkh uThānā ki gulistāñ ko bayābāñ karnā
dāġh-e-dil parde meñ rah jaa.e na ai dast-e-junūñ
chaak kuchh aur abhī merā garebāñ karnā
lā ke phir misr meñ ai ishq kisī yūsuf ko
phir na.e rañg se ārā.ish-e-zindāñ karnā
dasht-e-ġhurbat meñ tire ḳhāk-nashīñ achchhe haiñ
chāhiye aur inheñ be-sar-o-sāmāñ karnā
zauq-e-sajda tujhe sañg-e-dar-e-jānāñ kī qasam
hosh kā mujh ko na sharminda-e-ehsāñ karnā
uTh rahe haiñ mire nazroñ se duī ke parde
kuchh madad aur ḳhayāl-e-ruḳh-e-jānāñ karnā
ban ga.e hairat-e-nazzāra kī sūrat 'bedam'
raas aayā na hameñ diid kā armāñ karnā
Top Urdushayar.com