Bedam Shah Warsi

na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
na to apne ghar meñ qarār hai na tirī galī meñ qayām hai
tirī zulf o ruḳh kā farefta kahīñ sub.h hai kahīñ shaam hai
tire ik na hone se sāqiyā na vo mai na shīsha-o-jām hai
na vo sub.h ab mirī sub.h hai na vo shaam ab mirī shaam hai
na to chakhnā jis kā azaab hai na to piinā jis kā harām hai
sar-e-bazm saaqī ne dī vo mai ki surūr jis kā mudām hai
maiñ duā.eñ duuñ to vo gāliyāñ kareñ baat baat par bhabtiyāñ
ye ajiib taur-o-tarīq haiñ ye ajiib tarz-e-kalām hai
vo sitam se baaz na ā.eñge yūñhī zulm karte hī jā.eñge
unheñ kyā mare ki jiye koī unheñ apne kaam se kaam hai
mirā dil dahalne lagā abhī do ghaḌī tū duur hai ham-nashīñ
ḳhabar-e-visāl nahīñ sunī ye mirī qazā kā payām hai
bache kis tarah se marīz-e-ġham na tum aa sako na bulā sako
yahī hālateñ haiñ to dekhnā koī dam meñ qissa tamām hai
pise dil hazāroñ taḌap ga.e jo sisak rahe the vo mar ga.e
uThe fitne hashr bapā huā ye ajiib tarz-e-ḳhirām hai
ajab āshiqoñ kī namāz hai nayā 'bedam' un kā niyāz hai
ki qayām hai na qu.uud hai na to sajda hai na salām hai
Top Urdushayar.com