Bedam Shah Warsi

mujhse chhup kar mere armanon ko barbaad na kar

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
mujh se chhup kar mire armānoñ ko barbād na kar
dād-ḳhvāhī ke liye aayā huuñ bedād na kar
dekh miT jā.egā hastī se guzar jā.egā
dil-e-nā-āqebat-andesh unheñ yaad na kar
aa gayā ab to mujhe lutf-e-asīrī sayyād
zab.h kar Daal magar qaid se āzād na kar
jis pe martā huuñ use dekh to luuñ jī bhar ke
itnī jaldī tū mire qatl meñ jallād na kar
aap to zulm lagātār kiye jaate haiñ
mujh se tākīd pe tākīd hai fariyād na kar
jalva dikhlā ke mirā luuT liyā sabr-o-qarār
phir ye kahte haiñ ki tū nāla-o-fariyād na kar
aap hī apnī jafāoñ pe pashemān haiñ vo
un ko mahjūb ziyāda dil-e-nāshād na kar
ai sabā kūcha-e-jānāñ meñ paḌā rahne de
ḳhaak ham ḳhāk-nashīnoñ kī to barbād na kar
ham to jab samjheñ ki haañ dil pe hai qaabū 'bedam'
vo tujhe bhuul ga.e to bhī unheñ yaad na kar
Top Urdushayar.com