Bedam Shah Warsi

parde uThe hue bhi hain unki idhar nazar bhi hai

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
parde uThe hue bhī haiñ un kī idhar nazar bhī hai
baḌh ke muqaddar aazmā sar bhī hai sañg-e-dar bhī hai
jal ga.ī shāḳh-e-āshiyāñ miT gayā terā gulsitāñ
bulbul-e-ḳhānumāñ-ḳharāb ab kahīñ terā ghar bhī hai
ab na vo shaam shaam hai apnī na vo sahar sahar
hone ko yuuñ to roz hī shaam bhī hai sahar bhī hai
chāhe jise banā.iye apnā nishāna-e-nazar
zad pe tumhāre tiir ke dil bhī hai aur jigar bhī hai
din ko usī se raushnī shab ko usī se chāñdnī
sach to ye hai ki rū-e-yār shams bhī hai qamar bhī hai
zulf-ba-dosh be-naqāb ghar se nikal khaḌe hue
ab to samajh ga.e huzūr nāloñ meñ kuchh asar bhī hai
'bedam'-e-ḳhasta kā mazār aap to chal ke dekhiye
sham.a banā hai dāġh-e-dil bekasī nauhagar bhī hai
Top Urdushayar.com