pahle sharmā ke maar Daalā
phir sāmne aa ke maar Daalā
saaqī na pilā.ī tuune āḳhir
tarsā tarsā ke maar Daalā
iisā the to marne hī na dete
tum ne to jilā ke maar Daalā
bīmār-e-alam ko tū ne nāseh
samjhā samjhā ke maar Daalā
ḳhanjar kaisā faqat adā se
taḌpā taḌpā ke maar Daalā
yād-e-gesū ne hijr kī shab
uljhā uljhā ke maar Daalā
furqat meñ tire ġham-o-alam ne
tanhā mujhe pā ke maar Daalā
ḳhanjar na milā to us ne 'bedam'
āñkheñ dikhlā ke maar Daalā