sahārā maujoñ kā le le ke baḌh rahā huuñ maiñ
safīna jis kā hai tūfāñ vo nāḳhudā huuñ maiñ
ḳhud apne jalva-e-hastī kā mubtalā huuñ maiñ
na mudda.ī huuñ kisī kā na mudda.ā huuñ maiñ
kuchh aage ālam-e-hastī se gūñjtā huuñ maiñ
ki dil se TuuTe hue saaz kī sadā huuñ maiñ
paḌā huā huuñ jahāñ jis tarah paḌā huuñ maiñ
jo tere dar se na uTThe vo naqsh-e-pā huuñ maiñ
jahān-e-ishq meñ go paikar-e-vafā huuñ maiñ
tirī nigāh meñ jab kuchh nahīñ to kyā huuñ maiñ
tajalliyāt kī tasvīr khīñch kar dil meñ
tasavvurāt kī duniyā basā rahā huuñ maiñ
junūn-e-ishq kī nairañgiyāñ are tauba
kabhī ḳhudā huuñ kabhī banda-e-ḳhudā huuñ maiñ
badaltī rahtī hai duniyā mire ḳhayāloñ kī
kabhī milā huuñ kabhī yaar se judā huuñ maiñ
hayāt o maut ke jalve haiñ merī hastī meñ
taġhayyurāt-e-do-ālam kā aa.inā huuñ maiñ
tirī atā ke tasadduq tire karam ke nisār
ki ab to apnī nazar meñ bhī dūsrā huuñ maiñ
baqā kī fikr na andesha-e-fanā mujh ko
ta.ayyunāt kī had se guzar gayā huuñ maiñ
mujhī ko dekh leñ ab tere dekhne vaale
tū aa.ina hai mirā terā ā.īnā huuñ maiñ
maiñ miT gayā huuñ to phir kis kā naam hai 'bedam'
vo mil ga.e haiñ to phir kis ko DhūñDhtā huuñ maiñ