Bedam Shah Warsi

mein ghash mein hun mujhe itna nahin hosh

Bedam Shah Warsi

Etawah, Uttar pradesh, India

1876-1936
meñ ġhash meñ huuñ mujhe itnā nahīñ hosh
tasavvur hai tirā yā tū ham-āġhosh
jo nāloñ kī kabhī vahshat ne Thānī
pukārā zabt bas ḳhāmosh ḳhāmosh
kise ho imtiyāz-e-jalva-e-yār
hameñ to aap hī apnā nahīñ hosh
uThā rakkhā hai ik tūfān tū ne
are qatre tirā allāh-re josh
maiñ aisī yaad ke qurbān jā.ūñ
kiyā jis ne do-ālam ko farāmosh
hai begānoñ se ḳhālī ḳhalvat-e-rāz
chale jaa.eñ na ab aa.eñ mire hosh
karo rindo gunāh-e-mai-parastī
ki saaqī hai atā-pāsh o ḳhatā-posh
tire jalve ko muusā dekhte kyā
naqāb uThne se pahle uḌ ga.e hosh
karam bhī us kā mujh par hai sitam bhī
ki pahlū meñ hai zālim aur rū-posh
piyo to ḳhum ke ḳhum pī jaao 'bedam'
are mai-nosh ho tum yā balā-nosh
Top Urdushayar.com