mere nāloñ se tah-o-bālā huī aksar zamīñ
zer-e-pā aayā falak aur bārhā sar par zamīñ
hai dayār-e-māh-rū kā bas yahī qāsid nishāñ
āsmāñ tujh ko nazar aa.egī vaañ kī sar-zamīñ
kis taraf jā.ūñ ki ho in do balāoñ se najāt
āsmāñ ghar ghar yahī hai aur yahī ghar ghar zamīñ
baarī baarī ye mujhe pīseñ ba-rañg-e-āsiyā
āsmāñ din bhar rahe gardish meñ to shab-bhar zamīñ
misl-e-ḳhurshīd āsmāñ jaltā hai āh-e-garm se
kāñptī hai ThanDī sāñsoñ se mirī thar-thar zamīñ
jis jagah haiñ dafn qātil terī mizhgāñ ke shahīd
vaañ evaz sabzī ke paidā kartī hai nashtar zamīñ
saikḌoñ is meñ ga.e mahbūb jā-e-rashk hai
rakhtī hai āġhosh meñ kyā kyā parī-paikar zamīñ
ātish-e-furqat se aalam kora-e-ātish huā
āsmāñ hai duud ham aḳhgar meñ aur mujmar zamīñ
ishq-e-ḳhāl-e-yār ne aisā kiyā zār-o-nahīf
baiThe rahne ko mire kaafī hai ab til bhar zamīñ