gauhar-e-ashk se labrez hai saarā dāman
āj-kal dāman-e-daulat hai hamārā dāman
ai junūñ bād-e-bahārī se nahīñ jumbish meñ
kuchh garebān se kartā hai ishārā dāman
vasl kī raat hai bigḌo na barābar to rahe
phaT gayā merā garebān tumhārā dāman
jāma-chīn ne nahīñ ye phuul chune nargis ke
saikḌoñ āñkhoñ se kartā hai nazārā dāman
bahut ai dast-e-junūñ tañg-nazar aatā hai
bāñdh de dāman-e-sahrā se hamārā dāman
ḳhuub pahuñchā diyā ai dast-e-junūñ hāthoñ-hāth
mil gayā aaj garebān se saarā dāman
aamad aamad mire ashkoñ kī magar sun lī hai
jhaaḌ kar gard jo sahrā ne sañvārā dāman