sāhil par dariyā kī lahreñ sajda kartī rahtī haiñ
lauT ke phir aane jaane kā va.adā kartī rahtī haiñ
kyā jaane kab dhartī par sailāb kā manzar ho jaa.e
har-dam ye majbūr nigāheñ varshā kartī rahtī haiñ
un kī nayyā bin māñjhī ke paar karegī sab dariyā
kyūñki Dher duā.eñ jaise pīchhā kartī rahtī haiñ
kis kis manzar par ḳhud ko ranjīda kar luuñ sochūñgā
har manzar par āñhkeñ merī nauha kartī rahtī haiñ
be-mehnat jab roTī qaidī ban jaatī hai thālī kī
be-ġhairat sī rāteñ mujh se shikva kartī rahtī haiñ
patthar ho jaa.eñ yā paanī rim-jhim rim-jhim barsā.eñ
āñhkeñ saare manzar ko ā.īna kartī rahtī haiñ