chale but-ḳhāne ko ḳhudā-hāfiz
tum bhī zāhid kaho ḳhudā-hāfiz
tere kūche se pech uThā ke chale
gesū-e-mushkbū ḳhudā-hāfiz
dam-e-īsā se bhī shifā na huī
lo bas ai hamdamo ḳhudā-hāfiz
hai bahut zūd-ranj dil merā
yaar hai tund-ḳhū ḳhudā-hāfiz
us sanam ko ḳhudā kahūñ na kahūñ
hai suḳhan gū-magū ḳhudā-hāfiz
dil ko but-ḳhāna kar ke ka.abe chale
zāhido zāhido ḳhudā-hāfiz
hai firañgan ke gore haath meñ dil
jaan kā sāhibo ḳhudā-hāfiz
dair se misl-e-nāla-e-nāqūs
jaate haiñ ai buto ḳhudā-hāfiz
baat bhī kī to ye kahā shab-e-vasl
jaa.eñ ham tum kaho ḳhudā-hāfiz
shah-e-ḳhūbāñ ke ġham meñ jaan chalī
ai 'vazīr' ab kaho ḳhudā-hāfiz