bhale hī aañkh mirī saarī raat jāgegī
sajā sajā ke salīqe se ḳhvāb dekhegī
ujālā apne gharauñde meñ rah gayā to raat
kahāñ qayām karegī kahāñ se guzregī
hamārī aañkh samundar khañgālne vaalī
yaqīn hai ki kabhī motiyoñ se khelegī
ḳhud-e'timādī zarā e'tidāl meñ rakhiyo
ulaT ga.ī to vo apnī zabān bhūlegī
suhānī shaam ke mausam meñ kyuuñ udāsī hai
havā udhar se chalī to kahāñ pe Thahregī
kisī anā ko koī maslahat na chhū paa.e
yahī to hai ki mirā e'tibār rakkhegī
tumhāre sar pe fazīlat kī chhāñv hai sāhib
ḳhatā-muāf tumheñ ye khañDar banā degī