dhuup niklī kabhī bādal se Dhakī rahtī hai
raat din apnī hī ā.ankhoñ meñ jagī rahtī hai
dekhte jā.iye milne kā ye andāz bhī ek
hoñT pe thoḌī muravvat kī hañsī rahtī hai
kyā samundar ko bhī ḳhatra hai ki is meñ koī
kulbulātī huī bechain nadī rahtī hai
ik nazar dekhtī jā.eñgī hamārī āñhkeñ
band dil meñ koī khiḌkī bhī khulī rahtī hai
saaf jazboñ ke havāle se to ġham haiñ lekin
ek lamhe kī ḳhushī ek sadī rahtī hai
dekh lete haiñ andhere meñ bhī rasta apnā
sham.a ehsās ke mānind jalī rahtī hai