dard bahtā hai dariyā ke siine meñ paanī nahīñ
us kā chaTTān pe sar paTaknā kahānī nahīñ
baat pahuñche samā.at ko tāsīr de kis tarah
lafz haiñ aur lafzoñ meñ zor-e-bayānī nahīñ
TuuT jā.egī dīvār jitnī bhī mazbūt ho
us ke ehsās kī dhuup bhī sā.ebānī nahīñ
kyā samajh-būjh kar ham bhī apnā ḳhudā ho ga.e
jaise duniyā hamesha kī ho dār-e-fānī nahīñ
Dūbte Dūbte naav pahuñchegī ik din zarūr
mere sāhil pe dariyā tirī mehrbānī nahīñ
ham sabhī ek rishte kī mañjdhār meñ qaid haiñ
chīḳhnā kashtiyoñ kā 'zafar' be-ma.ānī nahīñ