ik nadī meñ saikḌoñ dariyā kī tuġhyānī milī
Dūbne vaale ko mar jaane kī āsānī milī
hāshiya-bardār se pūchhā samundar ne miyāñ
aaj tak ik mauj bhī tum ko na dīvānī milī
sar-phirī pāgal havā ko roknā dushvār thā
ek hī din ke liye thī us ko sultānī milī
tishna-lab tālāb ne bādal ko phir dhokā diyā
phir vahī sahrā vahī sahrā kī vīrānī milī
har safar se kashtiyoñ kā lauTnā mumkin nahīñ
kyā pata kab lahr koī dushman-e-jānī milī
aage pīchhe sab ko maqtal se guzarnā hai 'zafar'
kyuuñ samajhte haiñ ki ham ko hī pareshānī milī