Khwaja Mohammad Wazir

hai naqsh-e-diram jo naqsh-e-pa hai

Khwaja Mohammad Wazir

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1854
hai naqsh-e-diram jo naqsh-e-pā hai
aap aate to ghar diram-sirā hai
dil jalva tirā dikhā rahā hai
shīsha ye mirā parī-numā hai
sultān-e-jahāñ hai jo gadā hai
taimūr har ik shikasta-pā hai
insāñ bhī qudrat-e-ḳhudā hai
kyā sañg ko but banā diyā hai
shīrīñ hai dahan karo shukr-e-ḳhand
hañsne meñ tumhārī ik mazā hai
mazmūn parvāne ban ke aa.eñ
shabdez-e-qalam charāġh-pā hai
yārān-e-guzasht-gāñ se hai uns
zinda murdoñ pe mar rahā hai
aayā nahīñ ḳhud-farosh merā
goyā mujhe mol le liyā hai
vo rashk-e-bahār-o-ġhairat-e-gul
gul-gasht-e-chaman ko jo gayā hai
gulzār huā hai paanī paanī
bulbul paanī kā bulbulā hai
jo chāhiye ishq meñ kiyā vo
ham mar ga.e kahiye marhabā hai
hai jhūTā kahūñ jo raast hai qad
ye tausan-e-husn alif huā hai
muñh jis ne diyā vo rizq degā
goyā ye dahāñ āsiyā hai
tauba kā na dar ho band yārab
jab tak dar-e-mai-kadā khulā hai
hai shīshā-e-sabz garm qulqul
tuutī mastoñ kā boltā hai
kyā jism hai saaf us parī kā
goyā qadd-e-ādam aa.ina hai
begāna koī nazar na aayā
aa.ina bhī sūrat-āshnā hai
kyā ḳhauf-e-gunah 'vazīr' ko ho
haamī sultān-e-ambiyā hai
Top Urdushayar.com