Abdul Aleem Aasi

apni hasti se tha KHud main bad-guman kal raat ko

Abdul Aleem Aasi

apnī hastī se thā ḳhud maiñ bad-gumāñ kal raat ko
kuchh na thā andesha-e-sūd-o-ziyāñ kal raat ko
chāñdnī barsāt sehn-e-gulistāñ dilkash havā
thiiñ hujūm-e-ġham meñ ye rañgīniyāñ kal raat ko
vus.at-e-taḳh.īl ke halqe meñ thā arsh-e-barīñ
dekhtī thiiñ chashm-e-dil kaun-o-makāñ kal raat ko
mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jām-e-sharāb
mehrbāñ thā vo but-e-nā-mehrabāñ kal raat ko
vo mohabbat kī nigāheñ vo mohabbat ke kalām
haañ do-bālā thī adā-e-dil-satāñ kal raat ko
har nazar paiġhām har andāz meñ raqsāñ ummīd
aur hī thā us kā tarz-e-imtihāñ kal raat ko
iffat-e-ulfat se thī ā.īna-e-dil kī jilā
varna thā jazbāt kā dariyā ravāñ kal raat ko
zauq se vo sun rahe the dāstān-e-ġham mirī
ho rahā thā inqilāb-e-āsmāñ kal raat ko
dil kī ik āvāz thī is bazm meñ tafsīr-e-ġham
ho chuke the vo bhī majbūr-e-fuġhāñ kal raat ko
tafarqe be-ai.tmādi dushmanī makr-o-fareb
thī tirī ta.abīr ai hindostāñ kal raat ko
so chuke the chand hī ghanToñ meñ arbāb-e-nashāt
sub.h tak thā saath vo ārām-e-jāñ kal raat ko
rañg-e-sahbā chashm-e-nargis meñ thā 'āsī' vaqt-e-sub.h
jāgne se ho rahī thiiñ ḳhūñ-fishāñ kal raat ko
Top Urdushayar.com