Abdul Aleem Aasi

kabhi ai haqiqat-e-dilbari simaT aa nigah-e-majaz mein

Abdul Aleem Aasi

kabhī ai haqīqat-e-dilbarī simaT aa nigāh-e-majāz meñ
ki taḌap rahe haiñ hazāroñ dil rah-e-ishq-e-sīna-gudāz meñ
ye kashish ye jazb ye mo.ajiza nigah-e-yatīm-e-hijāz meñ
ki paḌe the saikḌoñ ġhaznavī bhī jahāñ libās-e-majāz meñ
faqat ek nuqta gunāh kā sar-e-charḳh abr-e-siyah banā
nazar aa.iiñ mujh ko jo vus.ateñ tirī afv-e-banda-navāz meñ
ye nahīñ ki ham meñ nahīñ haiñ vo ye nahīñ ki ain hamī haiñ vo
magar ik haqīqat-e-ma.anavī hai nihāñ libās-e-majāz meñ
na anā ġhalat thā na haq-e-ġhalat magar itnī sī ġhalatī huī
ye jo raaz thā use chāhiye thā chhupānā parda-e-rāz meñ
jise pī ke piir bane javāñ jise pī ke chīḳh uThe javāñ
ye vo mai hai sāqī-e-mai-kashāñ tirī chashm-e-bāda-navāz meñ
Top Urdushayar.com