Abdul Aleem Aasi

us se ummid-e-wafa ai dil-e-nashad na kar

Abdul Aleem Aasi

us se ummīd-e-vafā ai dil-e-nāshād na kar
zindagī apnī is armān meñ barbād na kar
gila-e-zaur na kar shikva-e-bedār na kar
zulm sahne kā mazā ye hai ki fariyād na kar
ḳhalvat-e-dil hai tire aa ke Thaharne kī jagah
terī marzī use barbād kar ābād na kar
bāġhbāñ taak meñ hai ghaat meñ sayyād hai dekh
sair-e-gulshan abhī ai bulbul-e-nāshād na kar
kuchh taḌapne kā sisakne kā mazā lene de
itnī tājīl mire qatl meñ jallād na kar
ab mujhe tāqat-e-parvāz nahīñ ai sayyād
rahne de qaid qafas se mujhe āzād na kar
uuprī dil se sahī kuchh to tasallī ho jaa.e
saaf inkār se zālim mujhe nāshād na kar
dar-e-mahbūb tak ai baḳht mujhe pahūñchā de
aur kuchh us se sivā tū mirī imdād na kar
be-dhaḌak jaan sabhī ahl-e-vafā dete haiñ
tū faqat mid.hat-e-jā.bāzī-e-farhād na kar
ġham-e-dildār ne rag rag kā lahū chuus liyā
mujh se ab chheḌ tū ai nashtar-e-faulād na kar
laakh dushvār sahī zabt-e-fuġhāñ ai bulbul
magar ik uf bhī to be-marzī-e-sayyād na kar
sadma-e-hijr ke shikvoñ pe vo bole shab-e-vasl
ga.ī guzrī huī bātoñ ko tū ab yaad na kar
ai dil us shoḳh kī tasvīr tasavvur meñ to khīñch
kaam maanī se na rakh minnat-e-bahzād na kar
'āsī'-e-be-sar-o-sāmāñ ko paḌā rahne de
apne kūche se uThā kar use nāshād na kar
Top Urdushayar.com